Sunday 17 July 2016

Happy Birthday Shayari



Aap wo phool ho jo gulshan mein nahin khilte,
Par jis pe aasmaan ke farishte bhi fakr hai karte,
Aap ki zindagi hadd se zyada kimti hain,
Janam din aap hamesha mnaye yu hi hanste hanste.
Janamdin Mubarak


जन्मदिन के ये ख़ास लम्हें मुबारक,
आँखों में बसे नए ख्वाब मुबारक,
जिंदगी जो लेकर आई है आपके लिए आज..
वो तमाम खुशियों की हंसीं सौगात मुबारक!!!
Happy Birthday


Thofa Mai Tujhe Aaj Mera Dil Hi Deta Hu,
Yeh Hasin Mauka Gawana Nahi Chata Hu,
Apne Dil Ki Baat Tumhare Samne Batlata Hu,
Aur Tumhare Janam Din Ki Shubh Kamnae Deta Hu.


Main likh du tumhari umar chand sitaaro se,
Janamdin manau main phoolo se baharo se,
Har ek khoobsurti duniya se main lekar aau,
Mehfil ye sajaau main har haseen najaro se.
Happy Birthday My Dear


Tohfa-e-dil de doon ya de doon chand taare,
Janam din pe tuje kya du ye puche mujhse saare,
Zindagi tere naam kar doon toh bhi kam hain,
Daman me bhar du har pal khushiya me tumhare.
Wish u a very Happy Birthday


Aasman ki bulndiyo par naam ho apka,
Chand ki darti par mukam ho apka,
Hum to rahte hai choti si duniya me,
Par kuda kare sara jhan ho apka.


Dua Mile Bando Se Khushiyan Mile Jag Se,
Sath Mile Apno Se Rehmat Mile Rab Se,
Zindagi Me Ap Ko Be Panah Pyar Mile,
Kush Rahe Ap Duniya Mein Ziyda Sub Se.


Khuda Buri Nazar Se Bachaye Ap Ko,
Chand Sitaron Se Sajaye Aap Ko,
Ghum Kya Hota Hai Ye Aap Bhool Hi Jao,
Khuda Zindagi Mai Itna Hasaye Ap Ko.


Meri Dua Hai K Khush Raho Tum,
Mile Na Koi Ghum Jahan Bhi Raho Tum,
Samandar Ki Tarah Dil Hai Gehra Tera,
Khushioun Sa Bhara Rahe Daman Tera,
Tum Jo Kaho Woh Har Khawahish Poori Ho Tumhari,
Khuda Se Bus Yahi Dua Hai Hamari,
Tohfa Kya Doon Tumhain Duaoun K Siwa,
K Khuda Rahe Tum Se Raazi Sadaa.


Ugta Hua Suraj Dua De Aapko,
Khilta Hua Phool Khushbu De Aapko,
Hum To Kuch Dene Ke Kabil Nahi Hai
Dene Wala Hazaar Khushiyan De Aapko.



Woh Ghamon Ko Mujhse Milane Ko Mila Tha,
Yaar Mere Dard Badhanae Ko Mila Tha,
Main Dosh Bhala Kya Usko Du, Toh Kaise Du,
Woh Zindagi Se Nijaat Dilane Ko Mila Tha.


Hum Apni Maut Khud Mar Jaayenge Sanam,
Aap Apne Sar Kyu Iljaam Lete Ho,
Jaalim Hai Duniya Na Jeene Degi Aap Ko,
Aap Kyu Apni Jubaa Se Mera Naam Lete Ho.


Wada Koi Bhi Kabhi Poora Nahi Kiya,
Har Kadam Par Hamein Thukraya Aapne,
Baad Marne Ke Jalne Ka Dar Na Raha,
Jite Ji Itna Hai Itna Jalaya Aapne.


Bahut door hai tumse,
Par dil tumahre pass hai.
Jism padha hai yaha,
Par rooh tumahre pass hai.
Janamdin hai tumhara,
Par jashan humare pass hai.
Juda hai ek-dusre se hum,
Par fir bhi tum humare pass ho aur hum tumhare pass hai.


Yeh din yeh mahina yeh tareekh jab jab aayi,
Hum ne kitne pyar se janam din ki mehfil sajaayi,
Har shamaa par naam likh diya dosti ka,
Iss ki roshni mein chand jaisi teri surat hai samaayi.


Tumhari is ada pe kya jawab du,
Apne yaar ko kya tohfa du,
Koi acha sa phool hota to mangwata maali se,
Jo khud gulab hai usko kya gulab du.


Yahi dua karta hu khuda se,
Aapki zindigi mein koi Gam na ho,
Janamdin per mile hazaro khusiyan,
Chahe unme shaamil hum na ho.


Hamari to dua hai, koi gila nahi,
Wo gulaab jo aaj tak khila nahi,
Aaj ke din aapko wo sab kuch mile,
Jo aaj tak kisi ko kabhi mila nahi.


Phulon ne amrit ka jaam bheja hai,
Taaron ne gagan se salam bheja hai,
Khushiyon bhari ho jindgi aapki,
Yahe dil se humne paigam bheja hai.


Phool khilte rahein zindgi ki raah mein,
Hansi chamakti rahe aapki nigaah mein.
Kadam kadam par mile khushi ki bahar aapko,
Dil deta hai yehi dua baar-baar aapko.


Muskan aapke hontho se kahi jaye nahi,
Aansu aapke palkon pe kabhi aaye nahi,
Pura ho aapka har khwaab,
Aur jo pura na ho wo khwab kabhi aaye nahi.


Tamnnaon se bhari ho jindgi,
Kawahishon se bhara ho har pal,
Daaman bhi chhota lagne lage,
Itni khushiyan de aapko aane wala kal!!


Khuda na kare aapko koi gham ho,
Aur sirf khushiyan aur hansi mile.
Gham jab bhi badh chale aapki aur,
Khuda kare raaste me use pehle hum mile.


Tamanna karte ho aap jin khushiyoun ki,
Woh khushiyan aapke kadmon mein ho,
Ishwar aapko woh sab haqiqat mein de,
Jo socha aapne sapnon mein ho.


Har khushi khushi mange aapse,
Jindagi jinda dili mange aapse,
Ujala ho mukaddar me aapke itna,
Ki chand bhi roshni mange aapse.


Sitaron se aage bhi koi jahan hoga,
Jahan ke saare nazaron ki kasam,
Aapse pyaara wahan bhi na hoga.


Sajti rahe khushiyon ki mehfil,
Har Khushi suhani rahe,
Aap zindgi mein itne khush rahe,
Ki har khushi aapki diwani rahe.


Ugata hua suraj dua de aapko,
Khilta hua phool khushboo de aapko,
Main to kuchh bhi de nahi sakta,
Dene wala lambi umar de aapko.


Tohfa-e-Dil de du ya de du chand tare,
Janam din pe tujhe kya du ye puchhe mujhse sare,
Zindgi tere naam kar du bhi to kam hai…
Daaman me bhar du har pal khushi ke main tumhare.


Apko ashirwad mile badon se,
Sahyog mile chhoton se,
Khushiyan mile jag se, Pyar mile sab se,
Daulat mile rab se, Yahi dua hai DIL SE!

No comments:

Post a Comment