Sunday 17 July 2016

Miss You Shayari



Shayari‬ to ek bahana hai,
irada to aapka ek lamha churana hai,
aap hame yaad karo ya na karo,
‪Bas hame‬ to aapke khayalo me aana hai..


वो नहीं आती पर निशानी भेज देती है
ख्वाबो में दास्ताँ पुरानी भेज देती है
कितने मीठे हे उसकी यादो के मंज़र।
कभी कभी आँखों में पानी भेज देती है!!


Wo nahi aati par nishani bhej deti hai,
khwabon mein dastan purani bhej deti hai,
kitne mithe hain uske yadon ke manzar,
kabhi kabhi ankhon mai pani bhej deti hai.


कुछ खूबसूरत पल याद आते हैं,
पलकों पर आँसु छोड जाते हैं,
कल कोई और मिले हमें न भुलना
क्योंकि कुछ रिश्ते जिन्दगी भर याद आते हैं|


Kuch Khubsurat Pal Yaad Aate Hai,
Palkon Par Aasu Chhod Jate Hain,
Kal Koi Our Mile Hume Na Bhulna,
Kyonki Kuch Rishtey Zindgi Bhar Yad Aate Hai.


Bahot Ajib Hoti Hai Ye Yaade Bhi Mohabbat Ki,
Jin Palo Me Hum Roye The,
Unhein Yaad Karke Hume Hansi Aati Hai,
Or Jin Palo Me Hanse The,
Unhe Yaad Karke Rona Aata Hai..!!


दोस्ती का शुक्रिया कुछ इस तरह अदा करू,
आप भूल भी जाओ तो मे हर पल याद करू,
खुदा ने बस इतना सिखाया हे मुझे
कि खुद से पहले आपके लिए दुआ करू..


Dosti ka shukriya kuch is trah ada karu,
Aap bhul bhi jao to main yaad karu,
Dosti ne bas itna sikhaya hai muze
Ke khud se pahle apke liye dua karu.


आंसुओं की बूँदें हैं या आँखों की नमी है
न ऊपर आसमां है न नीचे ज़मी है
यह कैसा मोड़ है ज़िन्दगी का
उसी की ज़रूरत है और उसी की कमी है


दूरियों की ना परवाह कीजिये,
दिल जब भी पुकारे बुला लीजिये,
कहीं दूर नहीं हैं हम आपसे,
बस अपनी पलकों को आँखों से मिला लीजिये|


Duriyon Ki Na parwah Kijiye,
Dil Jab Bhi Pukare Hume Bula Lijiye,
Hum Zyada Dur Nahi Aapse,
Bas Apni Aankho Ko Palko Se Mila Lijiye.


आरज़ू होनी चाहिए किसी को याद करने की……!!
लम्हें तो अपने आप ही मिल जाते हैं,
कौन पूछता है पिंजरे में बंद पंछियों को,
याद वही आते है जो उड़ जाते है…!!


Dil mein chhipi yaadon se sawaru tujhe,
Tu dekhe to apni ankho me utaru tujhe,
Tere naam ko labo pe aise sajaya hain,
So bhi jaau to khawbo me pukaru tujhe!!


Ek ajeeb dastan hai Mere afasane ki,
Maine pal pal koshish ki tere pas aane ki,
Kismat thi meri ya sazish jamane ki,
Dur huye itana jitani.. Ummeed thi kareeb aane ki..!


एक अजीब दास्तान है मेरे अफसाने की..
मैने पल पल कोशिश उसके की पास जाने की,
किस्मत थी मेरी या साजिश थी ज़माने की,
दूर हुई मुझसे इतना जितनी उमीद थी करीब आने की.


Door Hain Aapse Toh Koi Gam Nahi,
Door Rehkar Bhulne Waale Hum Nahi,
Roj Mulaqat Na Ho To Kya Hua,
Aapki Yaad Aapki Mulaqat Se Kam NahI.


Aasmaan Hi Nahi Saare Sitare Bhi Humare Hain,
Aap Jo Akele Ho To Hum Aapke Sahare Hain,
Jis Pal Aap Hume Yaad Karte Ho,
Wo Lamhe Saare Jahan Se Pyare Hain.


Tu Yaad Kare Na Kare Teri Khushi,
Hum To Tujhe Yaad Karte Rehte Hai,
Tujhe Dekhne Ko Dil Tarsata Hai,
Hum To Intezaar Karte Rehte Hai.


पलकों मे कैद कुछ सपनें है,
कुछ अपने है और कुछ बेगाने है,
नजाने क्या कशिश है इन ख़्यालों मे ..
कुछ लोग दूर् होकर भी कितने अपने है।


हर सागर के दो किनारे होते है,
कुछ लोग जान से भी प्यारे होते है,
ये ज़रूरी नहीं हर कोई पास हो,
क्योंकी जिंदगी में यादों के भी सहारे होते है|


मेरी यादें मेरा चेहरा मेरी बातें रुलायेंगी,
हिज़्र के दौर में गुज़री मुलाकातें रुलायेंगी,
दिनों को तो चलो तुम काट भी लोगे फसानों मे,
जहाँ तन्हा मिलोगे तुम तुम्हे रातें रुलायेंगी|


Meri yaad ayegi tumhe jab door chali jaungi
door itna ki kabhi lout ke na aaungi.
Ab tak tumhare dil me rehti thi
fir tumhari yaado me bas jaungi.
Yaad ayegi baate aur mulakate magar
kabhi tumse mil na paungi.
Tadpoge tum bhi mere bare me soch kar
magar tab mein nazar na aaungi.
Tumhe jaan se jyda chahti hu
par shayad sabit na kar paungi.
Log kahte he pyaar amar hota hai
fir to mein khud ko hi amar kar jaungi.
Mere pyaar ko sahara dena tab jab
aakhri dum par tumhe bulaungi
meri yaad aaye to rat ko bahar aakar dekhna
me ek chamkta hua tara ban aaungi.
Aansu mat bahana mujhe yaad karke
warna me naraz ho jaungi.
Suna he sath janam milte he insaan ko waada raha
baki 6 janam tumhare sath bitaungiiii…


True Lines..!!
Bahot Ajib Hoti hai..
Ye Yaadain bhi Mohhbbat ki
Jin Palo me Hum Roye the..
Unhein Yaad Karke Hume Hansi Aati hai
Or Jin Palo me Hansey The..
Unhe yaad Karke Rona Aata hai.


Socha aaj fir unse pyar karlu,
Unka aaj fir didar karlu,
par fasle itne hai darmiya,
ye khuda un faslo kaise mai kam karlu…


Taraste the jo hamse milne ko kabhi..
Na jane q aaj mere saye se bhi wo katrate hain
Ham bhi wahi hain, dil bhi wahi hai..
Naa jaane kyun log badal jaate hain..


दिल तेरी याद में आहें भरता है!
मिलने को पल पल तड़पता है!
मेरा यह सपना टूट न जाये कहीं!
बस इसी बात से दिल डरता है! ❤️


उसकी बातों को बार बार याद करके रोये,उसके लिये दर पे फरियाद करके रोये,
उसकी खुशी के लिये उसको छोड दिया फिर,
उसे किसी ओर के साथ आबाद करके रोये. 💔


अंदाज-ऐ-प्यार तुम्हारी एक अदा है..
दूर हो हमसे तुम्हारी खता है..
दिल में बसी है एक प्यारी सी तस्वीर तुम्हारी..
जिस के नीचे ‘आई मिस यू’ लिखा है..


वो रात दर्द और सितम की रात होगी,
जिस रात रुखसत उनकी बारात होगी,
उठ जाता हूँ मैं ये सोचकर नींद से अक्सर,
कि एक गैर की बाहों में मेरी सारी कायनात होगी।


प्यार कर के कोई जताए ये ज़रूरी तो नहीं,
याद कर के कोई बताये ये ज़रूरी तो नहीं,
रोने वाले तो दिल में ही रो लेते हैं,
किसी की आँख में आसूं आये ये ज़रूरी तो नहीं..


Kaash Koi Hum Par Bhi Itna Pyaar Jatata..
Piche Se Aakar Wo Hamari Ankho Ko Chupata..
Hum Puchte Ki Kaun Ho Tum..
Wo Hans Kar Khud Ko Hamari Jaan Batata..!!


काश कोई हम पर भी इतना प्यार जताती,
पीछे से आकर वो हमारी आँखो को छुपाती,
हम पुछ्ते की कौन हो तुम..??
और वो हस कर खुदको हमारी जान बताती.


उनका भी कभी हम दीदार करते है
उनसे भी कभी हम प्यार करते है
क्या करे जो उनको हमारी जरुरत न थी
पर फिर भी हम उनका इंतज़ार करते है !


Har mulakat par waqt ka takaza hua,
Jab jab use dekha dil ka dard taza hua,
Suni thi sirf gazal mein judai ki bate,
Ab khud par biti to haqiqat ka andza hua.


हर मुलाकात पर वक्त का तकाज़ा हुआ..
हर याद पे दिल का दर्द ताजा हुआ..
सुनी थी सिर्फ हमने गज़लों मे जुदाई की बातें..
अब खुद पे बीती तो हकीकत का अंदाजा हुआ..!!


Chaand Sa Yeh Chehra Dekhne Ke Izazat De Do,
Mujhe Ye Shaam Sajane Ki Izazat De Do,
Mujhe Qaid Kar Lo Apne Ishq Mein Ya Fir,
Mujhe Ishq Karne Ki Izazat De Do.


Aankh kholu toh Chehra meri maa ka ho,
Aankh band ho to sapna meri maa ka ho,
Main marr bhi jau toh koyi gum nahi lekin,
Par Kaffan mile to dupatta meri maa ka ho.


Nikalo Apna Chaand sa Chehra..!
Agosh-e-Bistar se..!
Subha Taras Rhi..!
Hai Tera Deedar..!
Karne Ko..!


Khayal me aata hai jab us ka Chehra,
To labon pe aksar faryaad aati hai,
Hum bhool jate hai us k sare sitam,
Jab us ki thori si mohabbat yaad aati hai.


Aankho me teri hain mera ha Chehra,
Chaahe too ye maane ya na maane,
Teri mohabbat pe hai mera pehra,
Chaahe too ye maane ya na maane,
Tere liye main jate huye lamho ko mod lu,
Tere dhadkano ko chhu lu teraa jism odh lu.



Tera Chehra Jab Samne Aaya,
Mera Dil Dekh Tumko Muskuraya,
Shukr Karta Hu Ma Us Khuda Ka,
Jisne Mujhe Tujhse Milaya.


Toot kar reh gaya hai rishta apna,
Ek muddat hoi dekha nahi Chehra apna.


Madhhosh hum hardam raha karte hain,
Aur ilzaam sharaab ko diya karte hain,
Kasoor sharaab ka nahi unka hai yaron,
Jinka Chehra hum har jaam mein talaash kiya karte hain.


Na Jaane Kaise
Dard E Dil Chhupa Lete Hain Log,
Na Jaane Kaise
Gham Mein Bhi Muskura Lete Hain Log,
Meri Zindagi Toh Ek Khuli Kitab Hai,
Na Jaane Kaise
Chehre Par Chehra Chadha Lete Hain Log.


Raat Ki Tanhai Mein Akele The Hum,
Dard Ki Mehfilon Mein Ro Rahe The Hum,
Aap Hamare Bhale Hi Kuch Nahi Lagte,
Par Fir Bhi Aapke Bina Bilkul Adhoore Hain Hum.


Akele Chalte Chalte Yahan Thak Chuke Hain Hum,
Ab Humko Bhi Kisi Ka Sahara Chahiye,
Aur Ghamon Ka Bojh Hum Utha Nahi Sakte,
Ab Ghamon Ke Sagar Ka Kinara Chahiye.


Muddat se Akele the hum,
ek zamane ke baad kisi ka milna achha laga..
Sagar se gehri lagi apki dosti,
tairna aata tha par doob jana achha laga..


Zindagi Ke Zehar Ko Yu Has Ke Pi Rahe Hai,
Tere Pyar Bina Yu Hi Zindagi Jee Rahe Hai,
Akelepan Se Ab Darr Nahi Lagta Hame,
Tere Jaane Ke Baad Yu Hi Akele Jee Rahe Hai !!!


Zindagi Ki Raahon Par Kabhi Yu Bhi Hota Hai,
Insaan Khud Ro Padta Hai Akele Mein,
Kisi Ko Hausla Dene Ke Baad..!!


Hum wo teer hai Jo Himalaya ko cheer kar,
Apna Rasta badal sakte hai,
Koi Saath hamara de Ya na,
Hum Akele hi duniya hila skate hai.


Paas aakar sabhi door chaley jate hain,
Akeley they hum, Akeley hi reh jate hai,
Hum apney Dil ka dard kisey dikhaye,
Marhum lagane wale hi zakhm de jate hai.


Na jeene ki khushi na marne ka gham,
Unse milne ki dua bhi nahin karte hum,
Jeete hain isliye ke shayad woh ek din aayenge,
Marte isliye nahin ki wo Akele reh jaayenge.


Woh Jamana Gujar Gaya Kab Ka,
Tha Jo Deevana Mar Gaya Kab Ka,
Dhundhta Tha Jo Ek Nayi Duniya,
Lotke Apne Ghar Gaya Kab Ka,
Woh Jo Laya Tha Humko Dariya Tak,
Par Akele Utar Gaya Kab Ka,
Uska Jo Haal Hai Wohi Jaane,
Apna Toh Jakham Bhar Gaya Kab Ka,
Khwab Dar Khwab Tha Jo Tana Bana,
Ab Kahan Hai Bikhar Gaya Kab Ka.


Yahi Talak Tha Saath
Hamara Aur Tumhara Sanam,
Aaj Fir Ek Baar
Akele Pad Gayein Hain Hum,
Khud Hi Aakar Let Gaye Hain
Hum Apni Kabar Mein,
Kyuki Apni Zindagi Se
Aaj Dar Gaye Hain Hum.

No comments:

Post a Comment